woh rutba ha

"jo bhi guncha tere honton par khila karta hai
woh meri tangi-e- daman ka gila karta hai
dair se aaj mera sar hai tere zanoon par
ye woh rutba hai jo shahoon ko mila karta hai
main to batha houn dabaye huwe tufan ko
... tu mere dil ke dharakne ka gila karta hai
raat yun chand ko dekha nadi main raksaan
jaise jhumar tere mathe pe hila karta hai
kaun kafir tujhe ilzam tagaful de ga
jo bhi karta hai mohabbat ka gila karta hai"