Pani ankh main

"Pani ankh main bhar ke laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai
aik mohabat aur wo bhi nakam mobhat
lekin is se kam chaleya ja sakta hai
Dil par pani piny ati hain umeeden
... is chashmy main zeher milaya ja sakta hai
mujh benam se pujhty hain Farhad-o-Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai
phata purana khwab hai mera phir bhi
is main apna aap chupaya ja sakta hai"