Maine chaha tha kisi ko

"main na mil sakon jo tumse, meri justujo na karna
tumhen meri hi qasam hai, meri arzuu na karna


mujhe jis se thi muhabbat, usse thi ajab si adat
kabhi munh pher lena, kabhi guftugu na karna
...
maine chaha tha kisi ko, mera haal kya hai dekho
jo kiya kasoor maine, wo tum kabhi na karna


meri ho agar buraayi toh naa denaa tum safaai
mere saath khud ko ruswaa kabhi ku_ba_ku na karna


tumhe meri hi qasam hai, meri arzuu na karna
main na mil sakon jo tumse, meri justujo na karna


koi poochhe badnaseebi ki hai intihaa bhi koi
toh meri misaal denaa toh mujhe namona karna.. .."